Tamanna Thi Kabhi Wo Zindagi Ka Hamsafar Hoti
Mai Usko Dekhte Hi Saari Dunya Ko Bhula Deta
Agr Wo Muskuraati To Zaera Mai Muskura Leta
Wo Uski Jheel Si Aankhon Me Mai Khud Ko Dubo Leta
Uske Chaand Se Chehr\E Ko Honton Se Mai Chuuo Leta
Agar Wo Rooth Jaati To Use Pal Me Mana Leta
Mia Uski Saanson Ki Garmi Ko Saanson Me Basa Leta
Tamanna Thi Kabhi Wo Zindagi Ka Hamsafar Hoti
Mai Uske Saare Gam Apne Girebaan Me Piro Leta
Zara Sa Usko Bekud Karke Yun Mai Bhi Ji Leta
Mujhe Khwabon Me Paakar Wo Raat Din Har Pal
Use Dekhe Bina Muhko Naa Aata Chain Bhi Ek Pal
Kabhi Jab Rooth Mai Jaata Manati Wo Mujhe Aakar
Mai Rta To Mere Honton Pe Laati Wo Hansi Has Kar
Mai Usko Yaad Bhi Kar Leta To Be Khud Wo Ho Jati
Mere Har Dekhe Khwabon Ki Zara Taabir Wo Hoti
Tamanna Thi Kabhi Wo Zindagi Ka Hamsafar Hoti