Tarikay Badal Badal K Woh Aazmata Raha Mujhay
Bicharr K Bhi Umer Bhar Yaad Aata Raha Mujhay
Ranjish Thi Ya Khalish Shayed K Ho Yeh Adat
Tameer Kar K Meri Woh Mittata Raha Mujhay.
Talab Thaa Qurbato'n Ka Magar Muamla Ajeeb Thaa
Qurbaten Bharrha K Ganwata Raha Mujhay.
Humaray Bagair Woh Bhi Naa Chain Paa Saka
Thaa Anaa Parsat Anaa Dikhata Raha Mujhay.
Talkhi-E-Halat Bhi Kuch Kam Naa Thay Magr
Aur Wakat Bhi Musalsal Thakata Raha Mujhay
Bikhra Bohat Tha Woh Toota Saa Tha K
Qissay Musafato'n K Sunata Raha Mujhay.
Hum Bhi Ashkk Thay Goya Uss Ki Chasham K
Sama Naa Saka Tu Girata Raha Mujhay.
Udhori Muhabato'n K Amber Bharam Ki Tarah
Main Usay Aur Woh Nibhata Raha Mujhay.