Add Poetry

Tere Khuahishon Ki Sehar Ko Main

Poet: A R Rashid By: A R Rashid, Islamabad

Tere Khuahishon Ki Sehar Ko Main
Tasveer E Jahan Bakhsh Doon.
Tere Qurbaton Kay Safar Ko Main
Apnay Dil Per Yun Naqsh Karun
Aisay K Wafain Salam Dain
Meray Hauslon Ki Faseel Ko
Teray Dil Ki Banjar Zameen Per
Aansoo Girain Sadaun Kay
To Mehak Uthain Woh Fizain Bhi
Jo Raheen Sadion Say Muntazi Usi Aashiq E Namurad Ki
Jo Raha Sada Say He Bekaran
Yeh Tere Nazar Ka Aijaz Hay
K Jo Wus'atain Hain Soch Ki
Wahan Khuab Ban Ker Tu Rahay
Wohi Aashiq E Namurad Ahy
Jo Sahil Ke Geeli Rait Per
Tera Naam Likhay' Parhay Aur Jhoom Uthay
Samandaron Ki Huwaun Say
Sargoshian Karay Pyar Bhare
K Hawa' Fiza' Yeh Rutain Sabhe
Lay Jaen Jhole Bhar Bhar Namee
Un Aansuon Kay Waseelay Say
Jo Giray Hain Banjar Zameen Per
Khilain Gay Phool Wafaun Kay
To Mehak Uthain Ge Woh Fizain Bhe
Jo Rahen Sadion Say Muntazir
Usi Aashiq E Muard Ke
Jo Raha Sada Say He Bekaran
Tere Khuahishon Ki Sehar Ko Main
Tasveer E Jahan Bakhsh Doon
Tere Qurbaton Kay Safar Ko Main
Apnay Dil Per Yun Naqsh Karun
 

Rate it:
Views: 836
17 Mar, 2009
Related Tags on Love / Romantic Poetry
Load More Tags
More Love / Romantic Poetry
Popular Poetries
View More Poetries
Famous Poets
View More Poets