Falak Pe Chand Taaron Ki Nigahun Me
Guftugo Karti Hai To
Na Umeedi Ki Soch Ko Maat Dey Kar
Jeet Ki Justojo Karti Hai To
Jugnoan Ki Mehfil Me Aaj Titlian
Tujh Se Kehne Aey Hain
Ky To Tanha Nai Hai
Hamesha Muskurati Raha Kar
Zindagi Ki Dhuno Me Gungunati Raha Kar
Apne Har Nae Marasim Ko
Dil Me Base Dhanak Ke Rangon Se
Aankhun Ki Dehlez Me Saja Kar Rakha Kar
Ke To Tanha Nai Hai
Abhi Tere Hathon Ki Surkh Gulabi
Hattelion Par Hina Ke Rang Rachne Hain
Ke To Ne Abhi Sahil Ki Thandi Geeli Rait Par
Nange Pair Chalna Hai
Abhi Zara Dheeme Chal Ke Aage Tujhe
Tofano Ka Muqabala Karna Hai
Kaale Paharon Ko Zach Kar Ke Aage Bharna Hai
Abhi Tujhe Rah E Sirat E Mustaqeem Ka Pata Kar
Aage Manzil Ko Pana Hai
Par To Ghabrana Mat
Kisi Khouf Se Dagmagana Mat
Ky To Tanha Nai Hai
Han To Tanha Nai Hai