Add Poetry

Tootey Aaina

Poet: RAZAB By: junaid Ellahi, Multan

Roop Ka Gharoor Hai, K Toote Aaina
Aaj Phir Fatoor Hai, K Toote Aaina

Aaine Ki Aarzu ! "Ho Khair Yaar Ki"
Yaar Ko Manzur Hai, K Toote Aaina

Qat'a Nazar ! Nau'khez K Zahir Se Ba'khuda
Dil Me Ye Zarur Hai, K Toote Aaina

Dawat E Naqab Pe, Naqab Khench Kar
Ab ! Aaina Majboor Hai, K Toote Aaina

Inna Lillah Parhte Hue ! Aainay Ki, Wo
Shah'rag Se Itna Door Hai, K Toote Aaina

Thakan Ki Dosti Me, Dono Bazu Morrti
Angrrai Itni Choor Hai, K Toote Aaina

Shokhiyon Ki Bhaint Hui, Aainay Ki Taab
Taab Ka Dastoor Hai, K Toote Aaina

Hansi Ki Baat Baat Me, Naee Syasaten
Muskaan Ka Manshoor Hai, K Toote Aaina

Aankh Hai ! K Chahti Hai, Dekhti Rahe
Hath Me Angoor Hai, K Toote Aaina

Pasine Ki Kameez Se, Mili Bhugat K Baad
Badan ! Youn Sharaboor Hai, K Toote Aaina

Razab Se Puchti Hai, Wo ! Swaliya Nazar
Mera Kya Qasur Hai, K Toote Aaina ???

Rate it:
Views: 462
05 Jan, 2013
Related Tags on Love / Romantic Poetry
Load More Tags
More Love / Romantic Poetry
Popular Poetries
View More Poetries
Famous Poets
View More Poets