Zamanay Ku Chor Nay Ka Gham Nahi Mujh Ku
Sirf Dukh Os Say Bichar Janay Ka Hay
Na Badal Ta Wo Aghar Rah Apni
Tu Mujhay Zindagi May Os Say Ye Shikayat Kahaan Huti
Jitnee Mohabat Os Say Kee Main Nay
Wo Sab Os Ku Karkay Jit La Dee
Na Karta Main Etaybar Aghar Os Par
Tu Mujh Pay Lag Kar Ye Tohmat Kahan Jati
Ju Meray Paas Tha Os Kee Jholi Ku Bhar Dala
Zamany Kay Samnay Os Ka Khali Haath Acha Nahi Lagta
Na Janay Ka Khekar Rakh Leta Apany Paas Aghar Mujh Ku
Tu Os Kay Haath Say Ye Dulat Kahaan Jati
Chalo Acha Hua Meray Hutay Huye
Wo Mera Nahi Kisee Aur Ka Nikla
Na Huta Ye Elam Aghar Mujh Ku
Tu Os Ku Panay Kee Ye Hasrat Kahaan Jati
Ghamoon Say Ghabra Kay Mekaday Ka Rukh Kar Leya Main Nay
Rozo O Shab Ye Zehar Jigar Main Uatar Leya Main Nay
Na Parti Peenay Kee Ye Adat Aghar Mujhku
Tu Tunaha Shab-E-Ghan Kat Nay Kee Ye Himmat Kahaan Ati
Sunana Ab Ye Qissa Band Kar Deya Main Nay
Qasor Os Ka Nahi Jab Mera Ye Nikala
Na Uthata Main Aisa Qadam Aghar Apna
Tu Mujhay Suli Charnay Nay Kee Ye Nobat Kahaan Ati
Duyain Durrani Nay Apni Mout Kee Karkay
Sab Par Bra Ehsaan Ye Kar Dala
Na Marta Main Aur Aghar Kuch Din
Tu Meri Dekhi Ye Halat Kahan Jati