Add Poetry

Tujhe Dekhne Ke Baad

Poet: Unknown By: Muhammad Nadeem Abbas, Lahore

Kese sukoon paon tujhe dekhne ke baad.
Ab kia ghazal sunaon tujhe dekhne ke baad.

Awaaz de rahi hai meri zindagi mujhe.
Main jaon ya na jaon tujhe dekhne ke baad.

Kaabay ka ehtaraam bhi meri nazar main hai.
Sar kis taraf jhukaon tujhe dekhne ke baad.

Teri nigah-e-mast ne makhmor kar dia.
Kia mai-kaday ko jaon tujhe dekhne ke baad.

Nazron main tab-e-deed hi baqi nahi rahi.
Kis se nazar milaon tujhe dekhne ke baad.
 

Rate it:
Views: 4616
12 Nov, 2007
Related Tags on Love / Romantic Poetry
Load More Tags
More Love / Romantic Poetry
Popular Poetries
View More Poetries
Famous Poets
View More Poets