Add Poetry

Tum Se Door Rah Kar Bauht Nasahd Hein Jaanam

Poet: M.ASGHAR MIRPURI By: m.asghar mirpuri, birmingham

Tum Se Door Rah Kar Bahut Nashad Hein Jaanam
Kal Bhi Barbad Thay Aaj Bhi Barbad Hein Sanam

Apni Tamaam Umar Guzari Hai Sehte Ranj O Alm
Phir Bhi Mayoos Nahien Hein Zindgi Se Hum

Dil Ki Kashti Toofanon Ke Hawalay Kar Ke
Sagar Kinare Kar Rehe Hein Doobne Ka Maatam

Gulshan Mein Phool Thay Kalian Thi Bahar Thi
Meri Duniya Ujaar Kar Tanha Chour Gaey Zalim

Mere Khizan Bhare Jeeven Mein Kaise Bahar Aye
Yahan Na Koi Hamdam Hai Na He Koi Mera Sanam

 

Rate it:
Views: 352
12 Oct, 2016
Related Tags on Love / Romantic Poetry
Load More Tags
More Love / Romantic Poetry
Popular Poetries
View More Poetries
Famous Poets
View More Poets