Add Poetry

Tum Yad Aao Gay

Poet: Ibn.e.Raza By: Ibn.e.Raza, Islamabad

Jab Kahin Ulfat Ka Zikar Hoga Tum Yad Aao Gay
Kisi Ko Kho Dainay Ka Dar Hoga Tum Yad Aao Gay

Mai Jab B Sochonga Ik Nai Dunia Basanay Ka
Samnay Koi Ujjrra Hua Ghar Hoga Tum Yad Aao Gay

Youn Tu Weerano Ki Hi Wehshat Say Nahi Fursat
Kisi Gulshan Say Guzar Hoga Tum Yad Aao Gay

Kehin Koi Tu Tha Mera Dard Ashna Mera Hamnawa
Hath Mai Jab Sab K Pathar Hoga Tum Yad Aao Gay

Shayed K Usay B Dukh Tha Bicharr Janay Ka
Kehin Koi Agar Chashmay Tar Hoga Tum Yad Aao Gay

Mohabat K Sehar Mai Dhoob Kar Bhatka Koi Phanchi
Arzowon K Safar Mai Darbdar Hoga Tum Yad Aao Gay

Mujhay Kuch Tu Sahara Tha Jab Pas Thay Meray
Na Door Talak Koi Dewarodar Hoga Tum Yad Aao Gay

Ik Wasl Ki Aas Nay Dehleez Say Uthnay Na Dia Hai
Khatam Jab Umedon Ka Safar Hoga Tum Yad Aao Gay

Abi Tu Shikway Hain Zuban Par, Dil Mai Hasrat Hai
Jab Meri Duaon Mai Asar Hoga Tum Yad Aao Gay

Rate it:
Views: 4259
01 Oct, 2010
Related Tags on Love / Romantic Poetry
Load More Tags
More Love / Romantic Poetry
Popular Poetries
View More Poetries
Famous Poets
View More Poets