Un Aankhon Ka Aalam, Ghulabi Ghulabi
Text size
Un Aankhon Ka Aalam, Ghulabi Ghulabi
Merey Dil Ka Aalam, Sharabi Sharabi
Nigahon Ne Dekhi, Muhabbat Ne Maani
Teri Bemisali, Teri Lajawaabi
Ye Duz-Deeda Nazarein, Ye Raftaar-E-Naazuk
Inheen Ke Badaulat Hui Hai Kharabi
Khuda Ke Liye Apni Nazron Ko Roko
Tamanna Bani Ja Rahi Hai Jawabi
Hai “Behzad” Unki Nigah-E-Karam Par
Meri Na-Muradi Meri Kaamayabi