Ussay Ijazat Hai Jee Bhar K Uljhaye Mujhay
Sharat Yeh Hai K Phir Wohi Suljhaye Mujhay
Jheel Si Aankho'n Mein Doob Janay Day Kabhi Woh
Adhoray Lafzo'n K Ma'ani Samjhaye Mujhay
Hum K Zamanay K Usolo'n Say Sada K Bagi
Ahel-E-Dill K Dasateer Koi Parrhaye Mujhay
Maan Lay Meri Yaa Phir Manwa Lay Apni
Shanshahun Ki Tarah Mukabil Mein Giraye Mujhay
Ab Kon Muhabat Mein Baad-E-Saba Dhonday
Baad-O-Baraa'n Har Lamha Jaha'n Sataye Mujhay
Janta Ho Gar Woh Meray Jazbo'n Ki Hakeekat
Lazim Hai K Fakat Phir Nibhaye Mujhay
Woh Milay Mujh Say Meray Akas Ki Surat
Sunay Meri Aur Apni Suna'aye Mujhay
Guzar Naa Jaen Jaa'n Say Hi Kahen Hum
Shouq Mein Itna Bhi Naa Aazma'aye Mujhay
Harf-E-Dua Ki Tarah Meray Lab Pay Theharnay Wala
Apnay Dast-E-Dua Mein Kabhi Thehara'aye Mujhay
Muhabat Gar Tajarat Hai Tu Karay Sudagari Bhi
Meri Wafao'n K Bhi Zara Daam Bata'aye Mujhay
Humhay Manzor Hai Amber Turak-E-Tualuk Bhi
Jeena Apnay Bina Magar Seekha'aye Mujhay