Ussay Kahna
Kisi Bhi Sham Main Milnay Chalay Aaye
Mujhay Aik Nazm Likhni Hay
Sunahri Dhoop K Jaisa Tere Rang-O-Roop Ujla Sa
Dhulay Barish Se Dekho To Haseen Piyaray Nazaray Hain
Falak K Isteaaray Hain
Yah Teri Aankh Jaisay Hain
So In Sab Par
Mujhay Aik Nazm Likhni Hay
Ussay Kahna Murree Ki Jhoomti Chanchal Hawaoon Si
Teri In Shokh Zulfoon Par
Mujhay Kuch Shair Kahnay Hain
Nasheeli Ankhon Main Teri Sharaboon Ki Si Masti Hay
Teri Narm Palkoon Par Yah Jitney Bhi Sitaray Hain
Mujhay In Sab Ko Choona Hay
Teray In Band Honton Main Chupi Jo Muskurahat Hay
Yahi To Shairi Hay Bas
Mujhay Aik Nazm Likhni Hay
Ussay Kahna
Teri Aankhain Bohat Kuch Bolti Hain
Teri Batain Shehad Sa Gholti Hain
Yah Phoolon Par Giri Shabnam Teray Galoon K Jaisi Hay
Chamakti Chandni Jaisi Teri Roshan Jabeen Par Bhi
Mujhay Aik Nazm Likhni Hay
Ghani Shakhoon K Patton Main Chupa Woh Chand Piyara Sa
Teray Chahray K Jaisa Hay
Teray Is Chand Chahray Par Mujhay Kuch Shair Kahnay Hain
Ussay Kahna Mujhay Aik Nazm Likhni Hay
Kisi Bhi Khubsoorat Sham Main Milnay Chalay Aayea