Add Poetry

Ussi Aik Lamhay Ki Bazgasht

Poet: Muhammad Nawaz By: Muhammad Nawaz, sangla hill

Kabhi Koi Duniya Ko Chhor Ker
Yahan Muskuraya Tha Aik Pal
Abhi Tak Rachi Hai Hawaon Main
Usi Aik Lamhay Ki Bazgasht
Who Kabhi Labon Ko Jo Kholta
Tu Fiza Main Shehd Sa Gholta
Who Jo Chalta Shokh Adaon Se
Tu Zameen Ka Seena Bhi Dolta
Who Madhur Si Nazaron Ke Des Main
Sar E Shaam Awaara Saaatain
Kahin Ruk Gain Tu Pata Chala
Mera Dil Faqeerana Bhais Main
Kahan Kis Khamoshi Se Kho Gya
Na Dhyaan Raha,Na Khabr Hui
Who Kisi Ki Motiyon Si Hansi
Mujhay Kehkashaon Pe Le Gai
Wohi Aik Pal Mujhay Yaad Hai
Aur Uske Baad Hayat Bhar
Main Khara Rha Usi Mor Per
Na Koi Nazar Main Sama Saka
Na Khyaal Main Koi Aa Saka
Yeh Gulaab,Kaliyan,Bahar,Aos
Yah Hawa,Dhanak,Yah Fiza Falak
Yeh Shajr,Pahaar,Ya Zamzamay
Yah Chaand,Sooraj ,Roshni
Yeh Khushi,Yeh Baatain,Yeh Qahqahay
Yeh Qalam,Yeh Shaeri,Yeh Khyaal
Usi Aik Saaat Ka Kamal
Yeh Jahan ,Yeh Duniyain,Yeh Zameen
Yeh Safar,Yeh Rah,Yeh Makaan,Makeen
Yeh Samuder O Sehra O Shehr O Dasht
Usi Aik Lamhay Ki Bazgasht

Rate it:
Views: 612
29 Aug, 2010
Related Tags on Love / Romantic Poetry
Load More Tags
More Love / Romantic Poetry
Popular Poetries
View More Poetries
Famous Poets
View More Poets