Utarti Shaam Ka Saaya Jahaan Aa Kar Thaharta Hai
Wohin Sooraj Kay Bujhne Ka Dhuwaan Aa Kar Thaharta Hai
Muhabbat Ki Talab Had Se Siwa Jis Waqt Hoti Hai
Usi Pal Zabt Ka Har Imtihaan Aa Kar Thaharta Hai
Karakti Dhoop Main Abr-E-Rafaaqat Ki Tarah Har Pal
Tera Ehsaas Misl-E-Saayebaan Aa Kar Thaharta Hai
Subuk Raftaar Si Khushbu Bikhar Jaati Hai Saanson Main
Nigaahon Main Jo Aks-E-Jaan-E-Jaan Aa Kar Thaharta Hai
Meri Takmeel Karta Hai Tumhaara Saath Yoon Jaanaan !
Zameen Kay Sar Pe Jaise Aasmaan Aa Kar Thaharta Hai
Tumhaare Qurb Kay Lamhay Jahaan Par Raqs Karte Hain
Wohin Par Khwaahishon Ka , Kaarwaan Aa Kar Thaharta Hai
Milan Ki Aas Ki Khushbu Se Hai Labraiz Har Lamha
Wo Mosim Jo Hamaare Darmiyaan Aa Kar Thaharta Hai
Kashish Tairi Manaazil Apni Jaanib Mor Laiti Hai
Kahaan Ka Raasta Hai Dil Kahaan Aa Kar Thaharta Hai
Ghazal Se Phoot'ti Hai Joonhi Jaan-E-WARD Ki Khushbu
Talaash-E-WARD Main Aalam Yahaan Aa Kar Thaharta Hai