Loog os kee aknhoon ku ghumandi kehtay hein
Os kee es ada ku me nay apna gharor bana rakha hay
Zahid kufar ka fatwa ghalat lagta hay mujh par
Os kee arzo mein sar hee tu mein ne jhuka rakha hay
Haath me haath kabhi wo daal hee na day kahien
Ye soch kar os kay agay apna haath phela rakha hay
Ab mujhay peenay say kuch hasil nahi huta saqi
Uterta nahi ju khumar os ne mujh pay charha rakha hay
Andhera ab chanay kee sayee nahi karta kabhi mujh par
Os kee aas ka dyaya ju mein nay dil mein jala rakha hay
Mein jeyoon ga jab talak mein chahoon marzi meri
Bila wajay mout nay ye zimma utha rakha hay
Mujhay mita ke meri khak bahnay nay kee fikar kesi
Meri ankhoon mein os ne gnaga jamna baha rakha hay
Sarhad par kon see mannatein mang nay jatay hein loog
Os ke kochay mein umeedon ka apna mazar bana rakha hay
Durrani ka seena chaak karkay khud ku milay ga ek din vo
Jahan os ka mein nay pathar ka majisma laga rakha hay