Add Poetry

Wakat-E-Hijra'n Mein Kiya Kiya Na Hua

Poet: S. Sadia Amber Jilani. By: Syeda Sadia Amber Jilani, FaisalAbad

Wakat-E-Hijra'n Mein Kiya Kiya Na Hua
Dard Koi Bhi Hasil-E-Dawaa Na Hua

Hum Bhoola Chukay Ussay Achi Khush Fehmi Thee
Woh Samnay Tha Tu Zabat Koi Rawaa Na Hua

Intaha Ki Muhabat Thee Tu Ajnabiyat Bhi Bala Ki
Wakat-E-Rukhsat Koi Haraf-E-Dua Na Hua

Hum Louta Chukay Mataa-E-Jaa'n Sabhi Kuch
Ay Ishiq Tera Haq Koi Qazaa Na Hua

Woh Sab Ka Tha Meray Siwaa Ajab Hai
Yeh Dill K Siwaa Uss K Kisi Ka Na Hua

Mudto'n Naam Tha Meray Dast-E-Dua Mein Uss Ka
Mudto'n Aur Koi Haraf-E-Sadaa Na Hua

Dill Kehta Hai Muhabat Thee Mujh Say Ussay Bhi
Halaat Kehtay Hain Koi Kisi Ka Na Hua

Woh Mujh Mein Shamil Tha Aisay Amber
Bichrra Bhi Tu Mujh Say Juda Na Hua
 

Rate it:
Views: 352
20 Aug, 2015
Related Tags on Love / Romantic Poetry
Load More Tags
More Love / Romantic Poetry
Popular Poetries
View More Poetries
Famous Poets
View More Poets