Naghma E Tayyoor Tha
Noor Ka Zahoor Tha
Baad E Saba Thi Chal Rahi
Jawani Thi Machal Rahi
Patton Ka Ajab Shor Tha
Mehv E Raqs Mor Tha
Motiyon Ki Kitaab Thi
Moti Kya Sharaab Thi
Wo Ik Nigah Jo Pari
Wo Kaon Thi Wahan Khari?
Wo Hoor E Bajamal Thi
Nasha Tha ,Aik Jaal Thi
Wo Husn Kya Tha Teer Tha
Badan Bi Ghazl E Meer Tha
Main Paas Uss Ke Aa Gya
Khumaar Mujh Pe Chha Gya
Hos Meray Kho Gay
Hawas Meray So Gay
Haath Uss Ka Main Ne Thaam Ker
Kaha Keh Ai Noor E Nazar
Tu Kaon Hai Mujh Ko Bata
Lab Tu Hila Kuchh Tu Bata
Kehnay Lagi Wo Gulbadan
Ai Jaan E Jaan,Ai Jaan E Man
Main Pyaar Hoon,Qaraar Hoon
Goya Ke Rooh E Bahaar Hoo
Aa Mujh Ko Aa Ke Thaam Le
Aur Yeh Le Aik Jaam Le
Main Ne Baghair Soch Ke
Aqal Ko Apni Noch Ke
Ussi Ko Hamsafar Liya
Ussi Ko Zad E Rah Liya
Main Uss Main Hi Gumm Ho Gya
Ussi Main Qalb Kho Gya
Phir Aik Din Kya Huwa
Mast Tha Soya Huwa
Chupke Se Mujh Ko Chhor Ker
Naata Mujh Se Tore Ker
Chali Gai,Chali Gai
Wo Dard Mujh Ko De Gai
Kaghaz Tha Ik Wahan Para
Jis Pe Tha Likha Huwa
Duniya Mera Naam Hai
Yahi Mera Kaam Hai