Wo Larki Kanch Ki Guria Thi
Jo Nazuk Sa Dil Rakhti Thi
Gulab Sey Nazuk Honton Per Wo
Har Dam Muskan Sajaay Rehti Thi
Masom Si Bholi Bhali Wo
Shabnam Ki Manind Lagti Thi
Qos-E-Qazah K Rung Liay
Wo Hoor Ki Manind Lagti Thi
Pholon Ki Nagri Ki Rani
Parion K Dais Ki Maharani
Wo Larki Kanchi Ki Guria Thi
Jo Nazuk Sa Dil Rakhti Thi
Phir Janay Us Ki Hansi Kho Gai Kiun
Wo Khazan Ki Manind Ho Gai Kiun
Wo Gum Sum Gum Sum Ho Gai Kiun
Sab Rung Us K Kho Gay Kiun
Us K Dil Per Kia Beeti
Us K Khawab Hoay Kuin Kirchi
Khali Khali Nazron Main
Wo Kai Raaz Samaitay Rehti Hai
Lehron Ki Manind Bikhri Bikhri
Idhar Udhar Takrati Hai
Pheeki Si Muskan Saja'ay
Sab Ka Dil Behlati Hai
Wo Larki Kanch Ki Guria Thi
Jo Nazuk Sa Dil Rakhti Thi