Add Poetry

Wo Tere Lafaz

Poet: Nisa Noor By: Saima Mahmood, Lahore

Wo Tere LAFAZ
Mere Jismo Jan Ko Sakoon Anayat Kerty Hue
Meri Rooh Mai Sarayat Kerty Hue
Wo Tere LAFAZ
Jab Meri Samatoon Ko Choty Hain
Tu Tan Badan Mai Jaltarang Se Baj Uthaty Hain
Diyen Meri Sham K Sab Jal Uthtay Hain
Wo Tere LAFAZ
Jo Zameen Bany Muhabat Panpany K Lye
Teri Aur Chalny K Lye
Wo Tere LAFAZ
Andary Ratoon Mai Chamky Mahtaboon Ki Tarah
Jo Khazan Mai Mahkay Gulaboo Ki Tarah
Wo Tere LAFAZ
Kuch Din Se Khamosh Se Ho Gaye Hain
Koi Gahri Neend So Gaye Hain
NISA Tu Un Lafzoo Ko Daboon Dain Yadoon K Samandar Mai
Jis K Sahil Ki Mojoon Mai Iztarab Ab
Nahi
Kisi K Lab Tuje Kuch "LAFAZ" Kehne Ko Betab Ab Nahi

Rate it:
Views: 636
30 May, 2010
Related Tags on Love / Romantic Poetry
Load More Tags
More Love / Romantic Poetry
Popular Poetries
View More Poetries
Famous Poets
View More Poets