Wohi Hoti Hain Teri Ankhein
Poet: Nazim Ali By: Nazim Ali, okaraSochon Main Jab Bhi Tujhe Dil Mein
 Boht Dur Talak Uttar Jati Hain Teri Ankhein
 Banjar Hai Mere Dil Ki Basti 
 Or Sumander Hain Teri Ankhein
 
 Phir Kab Bhala Koi In Ke 
 Ansowon Ko Parhe Ga Nazim 
 Boht Roye Gi Jab Mujh Se
 Bichar Jaye gi Teri Ankhein
 
 Khalli Khalli Sa Jab Ho Ga
 Ghar Ka Angan Har Shaam Ko
 Koi Nehin Phir Aye Ga Bass 
 Mera Hi Rasta Dekhein Gi Teri Ankhein
 Bojhi Bojhi Si Nazar Aati Hain 
 Kuch Nehin Hai In Mein 
 Boht Roshan Ho Jati Hain
 Jab Tikti Hain Mere Chehre Pe Teri Ankhein
 Hon Doba Hua Main Ab Talak 
 In Haseen Palon Mein Nazim 
 Jab Hath Mein Hath Tha Or Thi Mastiyan
 Phir Muskarati Thi Teri Ankhein
 Main Tu Har Waqt Rehta Hon
 Tumhare Pyar Ke Khumar Mein Nazim 
 Chahon Bi Tu Nehin Bhool Sakta '
 Jidher Hota Hon Wohi Hoti Hain Teri Ankhein 







 
  
  
  
  
  
  
  
  
  
  
 