Add Poetry

Wohi Kajal Surmey Wali Aankh..!!!

Poet: Javaid Iqbal By: Deep Silence, Multan

Wohi Kajal Suremy Wali Aankh
Wohi Gehri Kaali Kaali Aankh
Jaaney Kyun Sehra Lagti Hai
Wo Dard Bhari Matwali Aankh

Surmey Mein Gazab Ki Shoukhi Thi
Kajal Ki Dhaar Anoukhi Thi
Allah! Kitna Tarsaati Thi
Wo Har Dam Jhukney Wali Aankh

Us Shakhs Pe Jab Wo Marti Thi
Kehney Se Phir Kyun Darti Thi
Ab Aansoo Kyun Barsaati Hai
Wo Bht He Sabroun Wali Aankh

Ab Surma Kajal Beh Gya Hai
Ashkon Mein Ghul Kar Reh Gya Hai
Basti Koi Ujri Lagti Hai
Veeran Si Khaali Khaali Aankh

Javaid, Kaho Us Ko Ja Kar
Na Roey Pachta Pachta Kar
Wo Shakhs To Ik Harjayi Tha
Us Ne Kahein Aur Laga Li Aankh

WOHI KAJAL SURMEY WALI AANKH
 

Rate it:
Views: 2885
19 May, 2013
Related Tags on Love / Romantic Poetry
Load More Tags
More Love / Romantic Poetry
Popular Poetries
View More Poetries
Famous Poets
View More Poets