Yaar Ko Hamne Ja Ba Ja Dekha
Yaar Ko Hamne Ja Ba Ja Dekha
Kahin Zaahir Kahin Chhupa Dekha
Nukta-e-Imaan Se Waaqif Ho
Chehra-e-Yaar Ja Ba Ja Dekha
Kahin Mumkin Hua Kahin Waajib
Kahin Faani Kahin Baqa Dekha
Deed Apne Ki Thi Use Khwahish
Aap Ko Har Tarah Bana Dekha
Dekhta Aap Hai Sune Hai Aap
Na Koi Uska Ma Siwa Dekha
Soorat-e-Gul Mein Khilkhila Ke Hansa
Shakl-e-Bulbul Mein Chahchaha Dekha
Shama Ho Kar Ke Aur Parwana
Aap Ko Aap Mein Jala Dekha
Kar Ke Daawa Kahin Anal Haq Ka
Bar Sare Daar Wo Khincha Dekha
Tha Woh Bartar Shuma-oMa Se ‘Niyaz‘
Phir Wohi Ab Shuma-o-Ma Dekha
Kahin Begaanavash Nazar Aaya
Kahin Surat Se Aashna Dekha
Kahin Hai Badshah-e-Takht Nashin
Kahin Kaasa Liye Gada Dekha
Kahin Aabid Banaa Kahin Zahid
Kahin Rindon Ka Peshwa Dekha
Kahin Woh Dar Libaas-e-Mashooqaan
Bar Sare Naaz Aur Ada Dekha
Kahin Aashiq ‘Niyaz‘ Ki Soorat
Seena Biryaan-o-Dil Jala Dekha