Add Poetry

Yahan Ke Zarre Zarre Pe Sada

Poet: M R Chishti By: M R Chishti, Muzaffarpur

Yahan Ke Zarre Zarre Pe Sada Ehsan Mera Hai
Har Ek Shai Meri Apni HaiHar Ek Insaan Mera Hai

Ahaya Khoon Mazloomo Ka Paani Ki Tarah Jisne
Wahi Ab Fakhr Se Kahta Hai Hindustaan Mera Hai

Watan Ka Jo Nahi Wo Shakhs Muslim Ho Nahi Sakta
Ye Farmane Nabi Hai Aur Yahi Imaan Mera Hai

Hamare Mulk Me Phir Se Khilen Ghunchen Muhabbat Ke
Yahi Meri Dua Hai Aur Yahi Armaan Mera Hai

Are Main Wo Hun Jo Qadmon Se Thukrata Hun Duniya Ko
Yeh Ek Chhoti Chataee Aur Ye Qur'aan Mera Hai

Agar Ladne Se Hi Yaaro Masaayal Khatm Ho Jaayen
To Aao Qatl Karna Bhi Bahut Aasaan Mera Hai
 

Rate it:
Views: 381
27 Jun, 2013
Related Tags on Love / Romantic Poetry
Load More Tags
More Love / Romantic Poetry
Popular Poetries
View More Poetries
Famous Poets
View More Poets