Add Poetry

Ye Muhabbat Hai

Poet: Bilal SameeR By: Bilal SameeR, Karachi

Ye Muhabbat Hai
Kisi Ka Milna, Hamsafar Banna
Sath Rehne Ka Azam Karna
Ik Dusre Se Khub Milna
Ik Dusre Ki Parwah Karna
Musalsal Raabte Karte Rehna
Ghantoon Baten Karte Rehna
Bandagi Mei Ajana, Kaha Manna
Dusre Ki Khushi Mei Khush Rehna

Ye Bhi Muhabbat Hai
Choti Choti Baton Par Larna
Do Do Din Rabta Na Karna
Par Dil Se Milne Ki Khwahish Karna
Narazgi Mitane Ki Koshish Karna
Mehbub Ka Na Manna Inkar Karna
Par Bat Be Bat Uske Dil Ka Pighalna
Phir Uski Aankhon Mei Ansuoon Ka Nuzul Hona
Aur Jhat Dono Ka Galey Lag Jana
Dono Ka Phir Dobara Muskurana

Ye Bhe Muhabbat Hi Hai!
Ik Dusre Ke Liey Jeena Marna
Ik Dusre Ko Khub Tahaif Dena
Pehle Ijazat Lena, Raza Chahna
Par Mehbub Ka Tohfe Se Inkar Kar Dena
Phir Khub Koshish O Minnaten Karna
Khub Bare Bare Bol Bolna
Phir Mehbub Ka Dil Jeet Lena
Mehbub Ka Har Man Lena
Mehbub Ka Han Kar Dena

Afsos, Ye Bhe Muhabbat Hai
Roz Roz Mulaqat Karna
Akele Dono Ka Waqt Guzarna
Ik Dusre K Lie Tarapna
Muhabbat K Peghamat Bhejna
Tohfa Tahaif Ka Tabadla Karna
Par Achanak Pasa Palatna
Darmyan Dono K Fasla Ajana
Dono Ka Akela He Reh Jana
Dunya Walon Se Ruth Jaana
Apno Se Nafrat Si Hojaana
Apne Aap Se Nafrat Hojaana
Din Bhar Chup Bethe Rehna
Raaton Ko Phoot Phoot Ke Rona
Mehbub Ke Hath Ka Chut Jaana

Kaash! Magar Ye Bhe Muhabbat Hai
Raaton Ko Jagte Rehna
Kabhe Beete Lamhon Ko Yad Karna
Kabhe Judai Ki Waja Par Ghor Karna
Kabhe Mehbub Se Wasul Hue Khat Parhna
Bar Bar Parhna Bar Bar Rona
Kabhe Judai Ke Ikhtitam Ki Duaen Mangna
Kabhe Yad Mei Uski Bimar Hojana
Roz Usey Yadon Mei Basana
Us Se Rabte Ka Sochna
Phir Khud He Peeche Hat Jaana
Ke Apne Ap Ko Is Qabil Na Paana
Baar Bar Muhabbat Ko Bhulana Chahna
Bar Bar Koshish Mei Nakam Hojana
Ye Muhabbat Hai
Ye Bhe Muhabbat Hai
Ye Bhe Muhabbat He Hai
Afsos Ye Muhabbt Hai
Kash. Magar Ye Bhe Muhabbat Hai

Rate it:
Views: 981
19 Apr, 2010
Related Tags on Love / Romantic Poetry
Load More Tags
More Love / Romantic Poetry
Popular Poetries
View More Poetries
Famous Poets
View More Poets