Add Poetry

Yeh Mohabbat Hai

Poet: Riz By: Rizwan Ahmed, Lahore

Azal Say Mohabat Mawara Alfazon Ki Mala Hy
Magar Yeh Haqeqat Hy
Mohbt Soch K Akash Pr Badal Ki Surat Main
Sada Parwaz Karti Hy
Kabhi Barish Ki Bundon Main Simat Kr Dil Ki Dharti Pr
Utarti Hy’ Bikharti Hy

Ada Lay Kar Saba Ki Yeh, Ghulabon Say Mehak Lay Kr
Dhanak Rang Ly Kar Or Sitaron Say Chamak Ly Kr
Haseen Anchal Banati Hy
Usi Anchal Say Phir Khuwabon K Kachay Ghar Banati Hy
Mohabat Azmati Hy

Kabhi Shair Ban Kar Lafz Ki Hurmat Barhati Hy
Kabhi Saaz Ban Kr Dhiray Dhiray Gungunati Hy
Sara-Pa Ankh Ban Jati Hy Yeh Mehbob Ko Pa Kar
Anokha Lams Ban Jati Hy Yeh Koe-E-Yaar Ja Kr
Na Jane Kon Sa Mantar Yeh Parh K Hole Hole Say
Kisi Ki Band Palkon Main Bina Dastak Diye Yak-Dam

Utar K Ghar Banati Hy
Mohabat Muskurati Hy

Yeh Khusboo Hy Humesha Phool Ki Sanson Main Hoti Hy
Bana Day Chand, Yeh Tera Shab Ko Jo Yeh Aisa Moti Hy
Kasaak Hy Daaimi Is Main, Buhat Bay Naam Lazaat Hy

Mohabat Ki Yehi Tareef Hy K
Yeh Mohabbat Hai

Rate it:
Views: 1619
02 Apr, 2010
Related Tags on Love / Romantic Poetry
Load More Tags
More Love / Romantic Poetry
Popular Poetries
View More Poetries
Famous Poets
View More Poets