Zaroori Nahi Jo Sahil Ki Gili Khunak Rait Per
Haath May Haath Dekar
Safar Aur Talatum K Kisse Sunai
Jazeeron Hawaaon Aur Andekhe Mosam
Aur Aankhon Se Ojhal Kinaaron Pe Bikhre
Hua Manzaron Zaiqon Aur Ranggon Ki Baatain Kare
Wo In Waardaaton Se Guzra Bhi Ho
Zaroori Nahi Hay
Gar Kahe Aao Hum In Pareshan Mojon Ka Peecha Karen
Jo Tere Aur Mere Paaon Ko Choomti Hain
Talatum Ki Benaam Manzil Se Guzrain
Ye Dekhen Hawaain Kise Dhoondti Hain
Tau Chalne Se Pehle Zara Soch Lena
Jo Andekhe Raston Ki Khabren Sunai
Wo In Raaston Ka Shanasa Bhi Ho
Zaroori Nahi Hay
Kahin Ye Na Ho Jab Samander May Tum
Usko Dhoondo Tau Wo
Saahilon Per Khada Muskurata Rahe