Shahar kay lambay fasloon pay akelay beth kar
Mobile pe peghamaat karnay ka dil karta tu huga
Car mien beth kar lambay safar pay jatay huye
Kandhay par sar rakhnay ka dil karta tu huga
Jahaz ke safar pay hifazati bund bandh kar
Zindagi kee dua karnay ka dil karta tu huga
Samandar kay sahilon par picnic banatay huye
Lehroon say dor rakhnay ka dil karta tu huga
Station par garam andoon or chai kee sada sun kar
Lapak kar pokoray khreed nay ka dil karta tu huga
Pedal chaltay huye achnak barish baras nay par
Apnay sathi kee jacket pehen nay ka dil karta tu huga
Sard hawoun mein apnay hathoon mein hath lekar
Un ku garam hararat denay ka dil karta tu huga
Der say ghar akar der talak sotay rehnay par
Subaah uth kar larnay ka dil karta tu huga
Apni nasazi-e-tabyat kay bahnay bana kar
Apni khidmat karwanay ka dil karta tu huga
Durrani kee gher erada tan yaad anay kay baad
Guzri yadon mein khoye rehnay ka dil karta tu huga