Add Poetry

Zulm Ki Inteha

Poet: ASRA By: ASRA ANIS, KARACHI

Kiss Qader Unchhai Say Mujh Ko Giraya Gaya
Qissa-E-Mohabbat Zamanay Ko Sunnaya Gaya

Kai Ruswaai Hue Kai Baar Mujh Ko Rulaya Gaya
Phir Bhi Taras Na Mujh Par Khaya Gaya

Mayre Ankhain Rooee'n Dil Bhe Toora Gaya
Her Lafz Say Mujh Ko Mara Gaya

Kiss Tarhaa'n Guzartay Hain Roz-0-Shab Oss Din K Baad
Kiss Kiss Tarhaan Kiss Ko Bataya Gaya

Rahaain Mushkill Ho Gaee'n Tanhaai Ko Barhaya Gaya
Her Baat Ko Alag Alag Zaviyay Say Sab Ko Sunaya Gaya

Her Taraf Ruswaii Hue Her Taraf Mujh Ko Jhukkaya Gaya
Her Nazer Mujh Pay Uthee Her Ungli Ko Mayre Taraf Uthaya Gaya

Iss Tarhaan Kuch Hue Main Ruswa Hamdam
Her Rah Pay Mayri Izzat Ko Uchala Gaya

Main Rootee Gaee Loog Kehtay Rahay
Mayray Dard Ko Her Lamhay Barhaya Gaya

Iss Tarhaan Mehsoos Kea Oss Pal Main Nay
Jessay Khamsoh Lash Pe Setam Dhaya Gaya

Hum Nay Zulm Tou Suna Tha Mager
Zulm Ki Hadh Ko Barhaya Gaya

Aissa Mehsoos Kea Oss Pal Mainnay
Jesay Malmal Ko Kantoo'n Main Phansaya Gaya

Ab Tou Kismat Say Gilla Nahi Koi
Sir Ko Naseeb K Aagay Jhukkaya Gaya

Iss Qader Hadh Kardi Zalimoo'n Nay
Dil Say Laho Tayry Bahaya Gaya
Phir Bhi Taras Na Tujh Pr Khaya Gaya
 

Rate it:
Views: 4171
30 Mar, 2008
Related Tags on Sad Poetry
Load More Tags
More Sad Poetry
Popular Poetries
View More Poetries
Famous Poets
View More Poets