Nikalta Hua Suraj Roshni De Aap Ko
Khiltay Huey Phool Khushbu Dain Aap Ko
Hum To Kuch Dainay K Kabil Hi Nahin
Dainay Walay Zindagi De Aap Ko
Is Mukaam Pe Aa K Tujhay Bicharnay Ki Soojhi
Ab Kahin Aa K Sanwray Thay Hamaray Din
Kahan Ansoon Ki Yeh Soghaat Ho Gi
Naye Log Hoon Gay Nayi Baat Ho Gi
Main Har Haal Main Muskurata Rahoon Ga
Tumhari Muhabbat Agar Saath Ho Gi
Charaghoon Ko Ankhoon Main Mehfooz Rakhna
Bari Door Tak Raat Hi Raat Ho Gi
Parishan Hain Hum Bhi Parishan Ho Tum Bhi
Chaloo Mekaday Main Wahein Baat Ho Gi
Chargoon Ki Lo Say Sitaroon Ki Zo Tak
Tumhain Main Miloon Ga Jahaan Raat Ho Gi
Jahan Wadiyoon Main Naye Phool Aye
Hamari Tumhari Wohi Mulaqat Ho Gi
Sadaoon Ko Alfaaz Milnay Na Payein
Na Badal Ghirein Gay Na Barsat Ho Gi
Musafir Hain Hum Bhi Musafir Ho Tum Bhi
Kisi More Per Phir Mulaqat Ho Gi