Add Poetry

کوئی شام گھر بھی رہا کرو

Poet: Bashir Bader By: Mussadiq, Mirpur Azad Kashmir

Younhi Be-Sabab Na Phira Karo
Koi Sham Gher Bhi Raha Karo

Wo Ghazal Ki Sachi Kitaab Hey
Usay Chupkay Chupkay Parha Karo

Koi Hath Bhi Na Milaey Ga
Jo Galay Milo Gay Tapaak Say

Ye Naey Mizaaj Ka Sheher Hay
Zara Faslay Say Mila Karo

Abhi Raah Mai Kaie Morrh Hain
Koi Ay Ga Koi Jaey Ga

Tumhain Jis Nay Dil Say Bhula Diya
Usay Bhoolnay Ki Dua Karo

Mujhay Eshtaihaar Si Lgti Hain
Muhabbtoon Ki Kahaniyaan

Jo Kaha Nahi Wo Suna Karo
Jo Suna Nahe Wo Kaha Karo

Kabhi Hussan E Pardah Nasheen Bhi Ho
Zara Aashqana Libaas Main

Jo Mai Ban Sanwer K Kaheen Chalu
Marey Saath Tum Bhi Chalaa Karo

Nahen Be-Hijaab Chand Sa
 K Nazer Ka Koi Aser Na Ho

Usay Itni Garmi E Shoq Say
Bhari Dair Tk Na Takaa Karo

Rate it:
Views: 589
19 May, 2008
Related Tags on Love / Romantic Poetry
Load More Tags
More Love / Romantic Poetry
Popular Poetries
View More Poetries
Famous Poets
View More Poets