Add Poetry

Dard K Mausam Ka Kya Ho Ga Asar Anjaan Par

Poet: Shakeeb Jalali By: junaid Ellahi, Multan

Dard Ke Mausam Ka Kya Ho Ga Asar Anjaan Par
Dosto Pani Kabi Rukta Nahi Dhalvaan Par

Aaj Tak Us Ke Ta'aqub Mein Bagolay Hain Rawa'n
Abrr Ka Tukra Kabi Barsa Tha Registaan Par

Main Jo Parbat Par Charha Wo Aur Uoncha Ho Gaya
Aasma'n Jhukta Nazr Aya Mujhe Maidaan Par

Kamray Khaali Ho Gaye Sayon Se Aangan Bhar Gaya
Doobty Soorj Ki Kirnain Jab Parri Dalaan Par

Ab Yahan Koi Nhi Hai Kis Se Batain Kijiye
Yeh Magar Chup- Chaap Si Tasveer Aatish'daan Par

Aaj Bhi Shayad Koi Phoolo'n Ka Tohfa Bhaij Dy
Titliyan Mandla Rahi Hai Kanch K Guldaan Par

Bas Chalay To Apni Uryaani Ko Is Se Dhanp Lo0n
Neeli Chaadar Si Tanni Hai Jo Geeley Maidaan Par

Wo Khamoshi Se Ungliyan Chatkha Rahi Thi Aey 'Shakeeb'
Ya Ke Boondain Bajj Rahi Theen Raat Roshndaan Par..
 

Rate it:
Views: 486
22 Apr, 2013
Related Tags on Love / Romantic Poetry
Load More Tags
More Love / Romantic Poetry
Popular Poetries
View More Poetries
Famous Poets
View More Poets