Add Poetry

Dukhti Hai

Poet: Ibnemakhmoor By: Ibn-e-Makhmoor, srinagar

Dukhti Hai Har Dhadkan Meri Ab Aah O Fugan Se
Bharti Hai Saans Zindagi Yoon Kis Ke Gumaan Se

Main Jaanta Nahin Yeh Wafa O Mehar Agar
Leta Hai Dil Angdayiyaan Kis Dard E Nihaan Se

Bikta Hai Wahan Hosh O Hidayat Hi Char Soo
Mere Liye Deewangi Aati Hai Jahan Se

Acha Ki Mere Haq Main Nahin Mere Shab O Roz
Shikwe Bade Hain Shaikh Ji Ko Waqt O Zaman Se

Jo Kal Hamare Ghar Ka Wo Manzar Haseen Tha
Udta Phire Hain Dasht Main Ab Raet E Rawaan Se

Ik Shouq Nazar Bas Meri Chahat W Ibadat
Jo Kuch Bhi Ayaan, Hai Yehi Paigam Rasaan Se

Yeh Ishq W Masti Bin E Makhmoor Gam Ki Wirasat
Qatra Hai Samandar Hova Is Dard E Geran Se
 

Rate it:
Views: 279
31 Aug, 2013
Related Tags on Love / Romantic Poetry
Load More Tags
More Love / Romantic Poetry
Popular Poetries
View More Poetries
Famous Poets
View More Poets