Add Poetry

Gham-e-Zindagi Tera Shukriya

Poet: Muhammad Shahzad Waseem By: shahzad waseem, Faisalabad

Gham-E-Zindagi Tera Shukriya
Tune Muj Ko Kia Kuch Ata Kia

Mere Yar Ko Muj Se Juda Kia
Mere Dard Ko Tune Bhula Dia

Meri Ashqui,Meri Khushi,Meri Hr Ada Ko Chura Lia
Meri Khudi Meri Dil Lagi Meri Ajzi Ko Fana Kia

Kabi Rah-E-Ishq Pe Chala Dia
Kabi Chalte Chalte Gira Dia

Kabi Hnasa Dia
Kabi Rula Dia
Kabi Gehri Neend Sula Dia

Meri Koshishain ,Meri Hasratain,Meri Khwahishain ,Meri Adtain
Meri Chahtain ,Meri Rahtain Mera Wajood Tak Mita Dia

Meri Khoshiyon Ki Jo Kitab Thi
Tune Ghaamon Se Us Ko Jala Dia

Le Le Zindagi Jo Hai Bachi Hoi
Is Se Hasil Mujy Kuch Nahi

Mera Sabar Jo Tha Mautbar
Krta Hun Aaj Isy Alvida

Aye ! Gham-E-Zindagi Tera Shukriya
Alvida Tujy Alvida
 

Rate it:
Views: 3208
01 Jul, 2013
Related Tags on Love / Romantic Poetry
Load More Tags
More Love / Romantic Poetry
Popular Poetries
View More Poetries
Famous Poets
View More Poets