Add Poetry

Tumharay Baad Ka Musam!

Poet: S. Sadia Amber Jilani. By: Syeda Sadia Amber Jilani., FaisalAbad,Punjab, Pakistan.

Tumharay Baad Na Bhaya Tumharay Baad Ka Musam
Na Koi Phir Muskuraya Tumharay Baad Ka Musam

Sar-E-Shaam Nazar Aya Jo Doubta Hua Suraj
Mujhay Yaad Aya Tumhary Baad Ka Musam

Shab-E-Zindagi Ko Muyasir Humaysha Udasiya'n Aen
Bohat Saath Nibhaya Tumharay Baad Ka Musam

Na Phir Bahaar Ai Na Phir Gulo'n Pay Rang Aya
Na Koi Mana Paya Tumharay Baad Ka Musam

Kabhi Barishen Yakdam Kabì Yaado'n Ki Hawa Ai
Kabhi Qaatil Kabhi Maseeha Tumharay Baad Ka Musam

Har Pal Meray Saath Har Pal Mera Na Tha
Naashna Tum Sa Tumharay Baad Ka Musam

Har Ahat Tumhari Amad Ka Guma'n Laai
Har Din Rulaya Tumharay Baad Ka Musam

Ik Talakhi-E-Ayam Ik Dill Ki Tanhai
Sitam Kiya Kiya Na Giraya Tumharay Baad Ka Musam

Usski Surmai Ankhon Ki Teergi Keh Gai
Bohat Dushwaar Tha Aya Tumharay Baad Ka Musam

Chaand Barish Phool Aur Khushboo
Tumhari Yaad Dilaya Tumharay Baad Ka Musam

Bohat Ajnabi Bohat Uljha Sa Tha Amber
Tumhen Kho Kar Laga Tumharay Baad Ka Musam

Rate it:
Views: 368
22 Jan, 2015
Related Tags on Sad Poetry
Load More Tags
More Sad Poetry
Popular Poetries
View More Poetries
Famous Poets
View More Poets