Wo Aksar Mujh Se Kehti Thi
Mohabbat Kuch Nahi Hoti
Hijr Ka Khauf Be-Matlab
Wasl Ka Khwaab Be-Maani
Koi
Soorat Nigahon Main
Kahan Din Raat Rehti Ha
Ye Aansoo Be-Zabaan Aansoo
Bhala Kya Bol Sakte Hain
Kahan Dil Men
Kisi Ki Yaad Se
Toofan Uthte Hain
Kahan Palkon Ke Saaye Main
Nammi Din Raat Rehti Ha
Kahan Hoti Hain Wo Aankhain
Jahan Barsat Rehti Ha
Magar Aaj Barson K Baad
Use Dekha To Kya Dekha
K Us Ki Jheel Aankhon Main
Hijr Ka Dard Rehta Ha
Wasl K Khwaab Rehte Hain
Wahan Barsaat Rehti Ha
Yoon Lagta Ha Kaee Raton Se
Woh Soi Nahin Shayed
Youn Lagta Hai Kissi Ki Yaad
Ab Din Raat Rehti Ha
Or Uski Naram Palkon K
Haseen Saaey Bhi Geelay Hain
Or Uski Khamoshi Esi
Keh Jis Main Baat Rehti Ha
Wo Mujh Se Yeh Nahin Boli,
”Mohabbat Kuchh Nahin…”
K Ab Shayed Mohabbat Ki
Wo Sab Ramzon Se Waqif Ha