Add Poetry

"Sard Shamein"

Poet: Arosa Hya By: Arosa Hya, Daska, Sialkot

Kachi Matti Pe Raaj Krti
Halki Halki Nami Liye Si
Ye Sard Shamain Udas Si Hain
Ufaq Ki Chadar Main Kirnain Soraj Ki Chup Rahen Hain
Dheeray Dheeray
Youn Lag Raha Hai
K Jaise
Ye Sari Dund Ye Sari Thandak
Darkanon Ko Mujamid Sa Kr Rahi Ho
Udasi Dil Main Utar Rahi Ho
Andera Halka Halka Sa Cha Raha Hai
Main Khirki Se Baher Thandy Parhty Surkh Gulabonon Ko Tak Rahi Hon
K Jin Pe Shabnami Qatron Ne  Apna Pehra Bitha Liya Hai
Parindy B Sb Ab Apne Ghar Ko Ho Liye Hain
Magar Main Ab B
Sisakty Mehtab Sard Hathon Ukharti Sansoon Ki Humnawayi Main
Tumhari Aahat Ki Muntazir Hon
Chaly B Aao K Ab To Meri
Umeed E Roshan K Sary Jugno B Rukhsat Ho Rahy Hain
Ye Sard Shamain Boht Hi Shiddat Se
Tumhara Ehsas
Dila Rahi Hain
Chaly B AaoChaly B Aao
K Sard Shamain Bula Rahen Hain
 

Rate it:
Views: 1693
17 Jul, 2014
Related Tags on Love / Romantic Poetry
Load More Tags
More Love / Romantic Poetry
Popular Poetries
View More Poetries
Famous Poets
View More Poets