Add Poetry

Aankhon ka Sawal

Poet: Taimoor By: Taimoor Jan, Nowshera

Koi Aankhon Aankhon Me Baat Kar Leta Hai
Koi Aankhon Aankhon Me Mulaqat Kar Leta Hai

Muskil Hota Hai Jawab Dena
Jab Koi Khamosh Reh Kar Bhi Sawal Karta Hai

Apni Aankhon Ke Samandar Main Utar Jane De
Tera Mujrim Ho Doob Kar Mar Jane De

Kisi Ke Kehne Se Meri Chahat Teri Kaam Na Hogi
Sochta Ho Kahoon Tumse Magar Jane De
 
Teri Aankhon Ki Chamak Aisi
Jaise Ambar Main Chamke Taara

Tere Chehre Ka Noor Aisa
Jaise Chand Ka Janam Dubara

Tu Bhand Aankh Ka Khowaab
Ya Jaanat Ka Koi Nazara
 
Aansoo KO Bahut Samjaya.Ke Tanhai Me Aaya Karo
Mehfil Main Humara Mazakh Mat Uddaya Karo

Is Baat Par Aansoo Tarap Kar Bole
Intne Logo Main Bhi Apko Tanha Paate Hai
Isi Liye Tumhara Saath Dene Chale Aate Hai

Ek Din Humhare Aansoo Hum Se Puchne Lage
Humhein Rooz Rooz Kyun Bhulate Ho

Hum Ne Kaha Yaad Unne Karte Hai
Tum Apne App Chale Aate Ho
 
Khuli Aankhon Se Sari Umar Dekha
Ek Aisa Khowab Jo Apna Nahin Tha

Meer Aaj Tak Woh Shahks Dil Mein Hai
Ke Jo Us Waqt Bhi Mera Nahin Tha

Aankhon Ke Saamne Kal Jo Aapka Rumaal AA Gaya
Kaise Milon Phir Aapse Ye Phir Sawaal Aa Gaya

Utth To Gaye The Kadam Aapke Ghar Ki Taraf
Magar Dil Ko Aapki Dee Kasam Ka Khayaal Aa Gaya

Aankhon Me Tera Aks Utar Lenge
Khushi Tujhe Dekar Gham Udar Lenge

Tere Jane Ke Bad Aaigi Teri Yaad
Tere Khayalo Me Hi Waqt Guzar Lenge

Rate it:
Views: 1710
14 Jun, 2009
Related Tags on Love / Romantic Poetry
Load More Tags
More Love / Romantic Poetry
Popular Poetries
View More Poetries
Famous Poets
View More Poets