Umar Ka Yeh Door Bhi Acha Laga
Ye Chalan Ye Toor Bhi Acha Laga
Khobsorat Tha Bohut Kal Bhi Magar
Aj Tu Kuch Aur Bhi Acha Laga
Hans K Kehna Un Ka Kuch Furmiyee
Aur Us Per Zoor Bhi Acha Laga
Un Se Iqrar-E-Wafa Ki Baat Ko
Rakh K Zair-E-Ghoor Bhi Acha Laga
Raat Ki Tanhai Mai Aksar Mujhe
Saaton Ka Shoor Bhi Acha Laga
Hum Se Sadah Looh Bhi Koi Na Ho
Apne Dil Ka Choor Bhi Acha Laga