Add Poetry

Akaila Dill

Poet: Ajmal By: Ajmal, Bradford, England

Shehr Ki Rounqoun Se Ghabhra Ker
Dhoondhta Hoon Udaas Veeranay
Rooh Mein Kis Qadar Udaasi Hay
Kis Ko Maloom Koee Kya Jaanay

Shaam Ke Dhundhlkay Mein Gum Ho Ker
Beetay Lamhaat Ka Ghubaar Liyay
Raat Ki Nurm Nurm Bahoun Mein
Ro Raha Hoon Dil-E Figaar Liyay

Meray Kamray Ki Aik Khirki Say
Chandni Aa Rahi Hay Chhun Chhun Ke
Pass Reh Ker Bhi Tum Say Door Rahay
Dermiyan Faslay Rahay Mann Ke

Ujree Ratoun Ka Gehra Sannata
Beeti Yadoun Ke Phailtay Saayay
Unhi Rahoun Mein Aaj Phirtay Hein
Kaash Bhoolay Say Tu Chali Aayay

Gham Ki Rahoun Mein Chalnay Waloun Ka
Koee Hamdard Koee Meet Naheen
Jab Se Bichhray Hein Teri Bahoun Say
Meray Hounton Pe Koee Geet Naheen

Rate it:
Views: 631
04 Oct, 2010
Related Tags on Love / Romantic Poetry
Load More Tags
More Love / Romantic Poetry
Popular Poetries
View More Poetries
Famous Poets
View More Poets