Add Poetry

Ankahi Chahat

Poet: Asim By: Asim Ghani, Karachi

Ankahi Chahat Ki Halki Si Ahat
Main Nay Suni Uski Sarsarahat

Dil Nay Kaha Kay Hai Koi Aya
Tu Main Ne Jab Iin Palkoon Ko Uthaya

Dekha Doorr Mujh Ko Tha Aik Saya
Yahan Ta Wahan Uski Kushbo Ko Paya

Laga Mujh Ko Aisa Yahi Hai Wohi Jo
Tha Barsoon Say Meray Tasawar Pay Chaya

Na Janay Kiyon Meray Qadam Utah Rahay Thay
Waheen Per Jahan Uska Tha Naqash Paya

Ajab Kaifiat Thi Nirali Thee Halat
Kabhi Main Nay Khud Ko Na Aisa Tha Paya

Laga Mujh Ko Aisa Hawaon Main Hoon Main
Khushi Say Mera Har Angg Lahraya

Main Kuch Ess Kushi Main Chalay Ja Raha Tha
Achanak Wahan Aik Badal Sa Aya

Hoi Gargarahat Aur Bijli See Chamki
Phir Charoon Taraf Meray Andhera Chaya

Chatay Jab Yeh Sayay Tu Tab Main Nay Dekha
Jahan Say Chala Tha Waheen Khud Ko Paya

Meray Samnay Phir Hazaroon Thay Rastay
Na Koi Thi Manzil Na Koi Tha Saya

Rate it:
Views: 916
10 May, 2008
Related Tags on Love / Romantic Poetry
Load More Tags
More Love / Romantic Poetry
Popular Poetries
View More Poetries
Famous Poets
View More Poets