Add Poetry

Bay-Bussy

Poet: ajmal By: Ajmal, Bradford, Great Britain

Jla Kay Dekh Liye Hum Ne Deep Yadon Kay
Wajood Teray Baddan Ka Nazar K Pass Nahin
Kahan Se Layein Teray Hont, Bazuon K Hisaar
Khlish Zarur Hy Dill Aisay He Udaas Nahin

Kaee Dino Se Ruka Hy Jo Rabtay Ka Husool
Nahi Sunay Teri Awaaz K Nashaib-O-Fraaz
Macha Hua Hy Khyalon Mein Ek Ajub Hejaan
Kahan Se Layen Teray Reshmi Badan K Gudaz

Hein Rutjagon K Masa-Ib Zroor Apni Jageh
Chahaar Su Hy Udasi Mein Doobi Tanhaee
Yeh Dooriyon K Masa-Il Ye Bay-Busy Ki Saza
Tumhari Ore Say E-Mail Bhi Nahin Aaee

Dhali Thi Sham Tow Derwazay Per Khadi Thi Raat
Guzzer Kay Kitnay Mraahil Say Dil Sambhala Hy
Yeh Roz-O-Shub Ki Udasi Yeh Dill Ki Veerani
Hamen Tow Fasilon Ki Bay-Busy Ne Mar Dala Hy

Rate it:
Views: 457
17 Jun, 2011
Related Tags on Love / Romantic Poetry
Load More Tags
More Love / Romantic Poetry
Popular Poetries
View More Poetries
Famous Poets
View More Poets