Add Poetry

Bhalay Dinno Ki Baat Hay

Poet: Unknown By: Asfi, Rawalpindi

Bhalay Dinno Ki Baat Hai
Bhali Si Ik Shakal Thi

Na Ye K Husun Tamam Ho
Na Daikhne Main Aam Si

Na Ye K Wo Chale To Kahkishan Si Rahguzar Lagay
Magar Wo Saath Ho To Bhala Bhala Safar Lagay

Koi Bhi Rut Ho Us Ki
Chab Faza Ka Rang Roop Thi

Wo Garmiyon Ki Chawon Thi
Wo Sardiyon Ki Dhoop Thi

Na Aisi Khush Libasiyan K Saadgi Gilla Kare
Na Itni Betakalfi K Aeena Haya Kare

Na Ashiqi Junoon Ki
K Zindagi Azab Ho

Na Iss Kadar Khathor Pan
K Zindagi Kharab Ho

So Ik Roz Kia Hoa Wafa Ki Bahas Chirh Gayi
Main Ishq Ko Amar Kahoon Wo Zid Se Chirr Gayi

K Umar Bar K Saath Ko
Wo Badtar Az Hawas Kahe

Na Us Ko Muj Pe Maan Tha
Na Muj Ko Us Pe Zam Koi

Jab Ehd Hi Koi Na Ho
To Kaya Gham-E-Shikastagi

So Apna Apna Raasta Hansi Khushi Badal Diya
Wo Apni Rah Chal Di Main Apni Raah Chal Para

Bhali Si Aik Shakal Thi
Bhali Si Us Ki Dosti

Ab Us Ki Yaad Raat Din Nahi
Han Kabhi Kabhi

Rate it:
Views: 727
17 Feb, 2008
Related Tags on Love / Romantic Poetry
Load More Tags
More Love / Romantic Poetry
Popular Poetries
View More Poetries
Famous Poets
View More Poets