Chalo Iqrar Karen
Poet: Khalil ULLah farooqi By: Sarmad Ali, KarachiKhushaal Se Tum Bhi Lagtey Ho
 Yun Afsurda Tu Hum Bhi Nahin
 
 Par Janney Waley Jantey Hain
 Khush Tum Bhi Nahin, Khush Hum Bhi Nahin
 
 Tum Apni Khudi K Pehrey Mein
 Hum Apni Zayem K Nargey Mein
 
 Anaa Haath Hamarey Pakrey Huwey
 Ik Mudat Se Galtaan Pechaa'an 
 
 Hum Apney Aap Se Uljhey Huwey
 Pachtawoon K Aangaroon Mein
 
 Mehsoor E Talatim Aaj Bhi Ho
 Go Tum Ne Kinarey Dhoond Liye
 
 Toofan Se Sambhlein Hum Bhi Nahin
 Kehney Ko Saharey Dhoond Liye
 
 Khamosh Se Tum, Hum Mehr Be Lab
 Jug Beet Gey, Tuk Baat Kiye
 
 Suno Khail Adhoora Chortey Hain
 Bina Chaal Chaley, Bina Maat Kiye
 
 Jo Bhagtey Bhagtey Thak Jaein
 Woh Sayein Ruk Bhi Saktey Hain
 
 Chalo Toroo Qasam Iqraar Karein
 Hum Dono Jhuk Bhi Saktein Hain
More Love / Romantic Poetry







 
  
  
  
  
  
  
  
  
  
  
 