Shabh Bhar Khubsorat Khabh Chuntay Rahay
Ujalay Ki Dastak Sunaee Hee Naa Dee
Zakhmi Khabun Ki Dawaa Kartay Rahay
Apni Zaat Ko Lamha Bhar Ehmiat Hee Naa Dee
Poray Chaand Say Shikwa Kartay Rahay
Chandni Humein Dekhaiee Hee Naa Dee
Sargoshion Ko Ghor Say Suntay Rahay
Kici Ki Pukaar Sunaiee Hee Naa Dee
Uss Ki Choorion Ki Khanak Suntay Rahay
Jatay Huay Qadmoun Ki Chaap Sunaiee Hee Naa Dee
Khan Nadaani Mein Usay Apna Samajhtay Rahay
Uss Ki Ankhun Mein Kici Or Ki Sorat Dekhaiee Hee Naa Dee