Add Poetry

Dartay Hein!

Poet: Akram Durrani By: Akram Durrani, California - USA

Ek Dosray Se Pyar Hu Janay Kay Ba Wajood Bhi Kyoon
Pyar Jetanay Se Tum Dartay Hu
 Pyar Jetanay Se Hum Bhi Dartay Hein

Payam-E-Mohabat Kay Akhir Mein Apna Naam
Tum Likh Nay Se Dartay Hu
Likhnay Se Hum Bhi Dartay Hein

Batoon Batoon Me Ajnabi Khayal Ajaye Kui Aghar
Zikar Karnay Se Os Ka Tum Dartay Hu
Zikar Karnay Se Os Ka Hum Bhi Dartay Hein

Anjanay Me Khata Apas Mein Hu Jaye Kui Aghar
Shekayat Karnay Se Tum Dartay Hu
Shekayat Karnay Se Hum Bhi Dartay Hein

Rooth Kar Chala Jaye Hum Donoon Mein Say Kui Aghar
Phelay Munanay Se Tum Bachtay Hu
Phelay Munanay Se Him Bhi Bachtay Hein

Jhoot Baat Bool Jayaein Apas Mein Kui Aghar
Sach Bolnay Se Tum Dartay Hu
Sach Bolnay Se Hum Bhi Dartay Hein

Baat Ek Dosray Se Chupa Lein Kui Aghar
Wo Raaz Batanay Se Tum Dartay Hu
Wo Raaz Batanay Se Hum Bhi Dartay Hein

Khof-E-Judai Apas Mein Hunay Ke Bawajood Kyoon
Phir Milanay Ka Wada Karne Se Tum Dartay Hu
 Phir Milanay Ka Wada Karnay Se Hum Bhi Dartay Hein

Baat Ek Dosray Se Mun Wanani Hu Kui Aghar
Zid Karnay Se Tum Dartay Hu
Zid Karnay Se Hum Bhi Dartay Hein

Ye Rasm-E-Mohabat Hay Ya Khof-E-Dunya Hay Kui Ju
Faslay Mitanay Se Tum Dartay Hu
Faslay Mitanay Se Hum Bhi Dartay Hein

Durrani Hosla Tum He Pyar Mein Peda Kar Kay Saaf Keh Dalo
Mohabat Karnay Se Na Tum Dartay Hu
Mohabat Karne Se Na Hum Bhi Dartay Heina
 

Rate it:
Views: 341
21 Jan, 2015
Related Tags on Love / Romantic Poetry
Load More Tags
More Love / Romantic Poetry
Popular Poetries
View More Poetries
Famous Poets
View More Poets