Add Poetry

Dil-E-Hasrat Mujhay

Poet: maha aman By: Nimranshaikh imranshaikh, karachi

 Dil-E-Hasrat Mujhay Mitanay Do
Ishq Mein Mujh Ko Jal Jaanay Do

Mjhko Malom He Khuab-E-Haqiqat
Phr Bhi Zura Dair Tou Aur Aanay Do

Kia Bataen Tmhe Khalish Kia Hoti He?
Lazat-E-Gham Pe Khil K Mskorane Do

Toot Janay Mei Han Ajeeb Lazzat Hai
Toot Kar Mujh Ko Bhikher Jaanay Do

Oomid-E-Bahara'n Say Durr Lagta Hai
Mat Koi Khuab Ab Hamen Suhanay Do

Teri Aankhon Ke Jaam Bus Meray Liyay
Aub Tou Bhur K Hamen Ye Pemanay Do

Nahi Aub Iske Siwa Dil Ki Tamunna Koi
Tmko Chahti Hun Bhot Mjko Chahnay Do

Suno Chahne Ko Tmhe Ye Kum Hai Ummr
Lakay Koch Aur Mujay Abhi,Zamanay Do

Deed-E-Neeyat Huwi Aubhi Kahan Pori?
Samnay Baitho,Mujhay Dekhy Janay Do

Aur Phir Ishhq Ka Kia " Taqaaza" Hai?
Yun Hi Rasam-E-Waffa Nibhanay Do

Zaat Py Meri Usay Pora Haq Hai Maha
Jaan Hun Uss Ki, Ussay Azmaanay Do

Rate it:
Views: 539
13 Jul, 2014
Related Tags on Love / Romantic Poetry
Load More Tags
More Love / Romantic Poetry
Popular Poetries
View More Poetries
Famous Poets
View More Poets