Add Poetry

Dil Humara Bohat Dukhaya Hay

Poet: Akram Durrani By: Akram Durrani, Trabuco Canyon

Dil Humara Bohat Dukhaya Hay
Char Qadam Tu Dushman Bhi Saath Chaltay Hien Tum Se Du Bhi Chala Na Gaya
Apni Dunya Ke Nakhlistaan Me Chan Se Bas Raha Tha Kahien
Ishiq Ke Sehrah Me La Kar Humein Tum Ne Jhulsaya Hay
Adab-E-Mohabat Ke Na Ashanayee Ke Sabab
Pyaar Ke Dastoor Ne Tumaharay Mujrim Humein Tahraya Hay
Tumari Be Rukhi Kahien Ka Ab Na Choray Gee Humein
Badlay Me Peyaar Ke Dil Humara Bohat Tum Ne Dukhaya Hay
Nayya Plat Gayee Pyaar Ke Samandar Main Safar Pe Nikal Ne Se Phelay
Lehroon Ne Tufaan Sahil Pe Tumaree Tarhaan Utha Ya Hay
Prindoon Ke Tarhaan Apnay Ghoslay Ka Rasta Hum Nahi Bholay
Lot Kar Aye Tu Raakh Ka Dher Osay Hum Ne Paya Hay
Tinka Tinka Chun Kar Ju Ashyana Hum Ne Baya Tha
Ek Ek Karkay Har Tinka Tum Ne Jalaya Hay
Humein Buzdil Na Kahu Kumzoron Me Bhi Bohat Jaan Huti Hay
Kachay Dhagoon Se Bahadroon Ne Dil O Jigar Apna Silwaya Hay
Darta Hoon Kisee Se Pyaar Karo Aur Bikhar Na Jou Tum
Sach Tu Ye Hay Tareekh Ne Hamesha Apnay Ku Duhraya Hay
Dam Ghutnay Ku He Chand Ghari Paas Akay Dekhu Tu Zara
Akhri Sansson Me Durrani Ne En Me Kaisay Tumay Basaya Hay
Kutbay Pay Naam Na Likh Na Kahien Ahsaas-E-Wajood Humra Hu Un Ku
Safhay-E-Hasti Se Khud Ka Naam O Nishaan Mitanay Ka Bera Jin Ke Leye Uthaya Hay

Rate it:
Views: 857
28 Jan, 2016
Related Tags on Love / Romantic Poetry
Load More Tags
More Love / Romantic Poetry
Popular Poetries
View More Poetries
Famous Poets
View More Poets