Add Poetry

Dukhi Ho Gaye Hain Hum

Poet: Nazim Ali By: Nazim Ali, okara

Kiss Tarhaa Ke Waqt Se Ulljh Gaye Hain Hum
Rafta Rafta Dukhon Ko Bardashat Karte Karte
Dukhi Ho Gaye Hain Hum
Kab Hai Asaan Is Waqt Ke Sath Chalna !!
Kitni Mushkil Main Jakray Gaye Hain Hum
Ansu' Dard' Takleef Ki Shiddat Be Intihaa
Ab Tu Khud Se Bi Be Parwaa Ho Gaye Hain Hum
Mujhe Nafrat Se Youn Dekheine Walon !
Matt Garor Karo
Nazim Aisa Nehin'
Magar Ab Zindagi Ki Bezariyon Se
Tang Ho Gaye Hain Hum
Apni Saasein Bi Ab Rukti Si Jati Hain Dard Se
Dil Mein Tu Tum Ho
Magar Ab Or Jaan Baqi Nehin'
Be Jaan Ho Gaye Hain Hum
Nazim Main Kyun Kar Gilla Karon
Kisi Se Apne Halaat Ka !!
Hai Meri Hi Qismat Ka Chakar
Par Ab Afsurda Ho Gaye Hain Hum

Rate it:
Views: 1546
06 May, 2013
Related Tags on Love / Romantic Poetry
Load More Tags
More Love / Romantic Poetry
Popular Poetries
View More Poetries
Famous Poets
View More Poets