Chalo Hum Man Laitay Hain
Tumhay Fursut Nahi Milti
Kabhi Gher Ki Safayee Say
Kabhi Apni Perhayee Say
Tumhay School Bhi Jana Hay
Wahan Sakhiyoon Say Milna Hay
Phir Uskay Bad Gher A Ker
Kitaboon Say Ulajhna Hay
Chalo Hum Man Laitay Hain
Tumhay Fursut Nahi Milti
Kabhi Khana Bunanay Say
Kabhi Zulfain Sanwarnay Say
Kabhi Ghaza Laganay Say
Kabhi Bazar Janay Say
Kabhi Bachoon Kay Jhurmat Say
Kabhi Behnoon Kay Chungal Say
Kabhi Ami Ki Khidmat Say
Kabhi Bhai Kay Kamoon Say
Kabhi Abba Ki Batoon Say
Chalo Hum Man Laitay Hain
Yeah Sub Kuch Man Laitay Hain
Muger Ik Arzoo Dil Ki
Tumhay Dil Say Batatay Hain
Ager Fursut Milay Tumko
Ik Lumhay Ko A Jana
Humay Itna Bata Jana
Tumhay Hamara Intizar Hay
Tumhari Ankhon May Abb Bhi
Humaray Khowsb Pul'tay Hain
Yaqeen Jano Yeah Ik Baat
Her Ik Deewar Dha Day Gi
Humay Deewana Bana Day Gi