Apni Nazroon Se Jo Gir Jaye Woh Chehra Na Bana
Mujh Ko Lamha-E-Fursat Ka Khilona Na Bana
Sainkroon Rastey Hain Ajnabi Ho Janey K
Tark Karna Hai Tou Talook Ka Bahana Na Bana
Jhoot Ehsaas Ki Qandeel Ko Boojha Deta Hai
Muhjey Insaan Samjh Khuda Ka Farishta Na Bana
Apni Yaadein Tu Mere Dil Main Basi Rehne Dey
Is Mehaktey Huay Gulzaar Ko Sehra Na Bana
Mein Tu Pehle Hi Zakhum Liye Phirta Hoon
Muhjey Ab Memoms Dard-E-Tamasha Na Bana
Thak Gaeen Hain Adeem Ehsaas Ki Aakhain
Naqsh-E-Deewar Per Ab Koi Afsana Na Bana